Nooran ala noor ki dekho yehi to paichan hai
Title: Nooran ala Noor Page: 64.1
__________________________________________________________________________
Taj Nooran ala noor ki dekho yehi to paichan hai
Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (4)
Ch Repeat above
Verse 1
Taj Noore ahad se noor chamak kar, panjetan mein aya tha
Ch Repeat above
Taj Wohi noor ki roshani phir, kutub sitara paya tha
Ch Repeat above
Taj Apne naamon se Allah ne, unka naam sikhaya
Ch Repeat above
Taj Is tara phir duniya ne, paighambhar ko paya tha **
Ali Muhamed Fatima Hassan Hussein paichan hai
Ch Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (4)
Verse 2
Taj Adam mein bhi dam ban kar, wohi noor aya tha
Ch Repeat above
Taj Noor ke liye libas, mitti ka banaya tha
Ch Repeat above
Taj Akle juz dekar usko, ashraful banayatha
Ch Repeat above
Taj Farishto ne bhi uske aage apna sar jhukaya tha **
Noore Muhamed roshan hua, jahan pe arbastan hai
Ch Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (4)
.../64.2
Nooran ala noor....cont'd Page 64.2
Verse 3
Taj Baitullah mein hui viladat, kaun who sitara tha
Ch Repeat above
Taj Jange auhad aur bader mein, kisne khel sawara tha
Ch Repeat above
Taj Khyber ko bhi tordiya, nade ali ka nara tha
Ch Repeat above
Taj Salman Nuseri Kambar se, pucho kya nazara tha **
Ya Ali adhrikani, la fata ki shaan hai
Ch Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (4)
Verse 4
Taj Hussein ko farmaya yeh, Qur'an par Qur'an hai
Ch Repeat above
Taj Aur Ali jaange sifin ke natekul Qur'an hai
Ch Repeat above
Taj Asliyat yeh noor hai, yeh mera imaan hai
Ch Repeat above
Taj Shaque nahin is baat pe kurban-Allah ko jaan hai **
Darpe tere rahe sada ye Taj ka armaan hai
Ch Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (4)
Nooran ala noor ki dekho yehi to paichan hai
Ale nabi aulade Ali aur panjetan ki shaan hai
Shah Karim zindabad (6 and fading)
- 14938 reads