Welcome to F.I.E.L.D.- the First Ismaili Electronic Library and Database.

Phoolon ki hai barsaat chalo Mowla ayen hai

Source: 
Raziya - Unknown Composer - Toronto
verses: 
2

Title: Phoolon ki hai Page: 16
Chord: Raag Bheeghi hui - Sangram
________________________________________________________________________

Phoolon ki hai barsaat chalo, Mowla ayen hai ***

Maheki hui hai raat chalo, Mowla ayen hai **

Phoolon ki hai barsaat chalo, Mowla ayen hai

Verse 1

Sine mein unki yaad hai, hoton pe unka naam hai ** (2)

Hai jinka chahera noor sa, kaisi nirali sham hai

Machle hai ye jazbaat chalo, Mowla ayen hai **

Phoolon ki hai barsaat chalo, Mowla ayen hai

Verse 2

Baithe huwen hai raha mein, bas ek jalak ki pyas hai ** (2)

Kaise sambhale dharkane, barson ki yeh aas hai

Arz hai ye so baar chalo, Mowla ayen

Phoolon ki hai barsaat chalo, Mowla ayen hai

Maheki hui hai raat chalo, Mowla ayen hai **

Phoolon ki hai barsaat chalo, Mowla ayen hai


Audio for Phoolon ki hai barsaat chalo Mowla ayen hai

Back to top