Welcome to F.I.E.L.D.- the First Ismaili Electronic Library and Database.

Hum Jashne Viladat ko bhardi shaan se manayenge

Source: 
Mahabanu Ratansi - Geet & Ghazals 2A - Toronto
verses: 
3

Title: Hum Jashne Vildat ko Page: 46_______________________________________________________________________

Alaap: Hum Jashne Viladat ko, bhardi shaan se manayéngé

Cho: Hum Jashne Viladat ko, bhardi shaan se manayéngé

Vich apné Aka ko hum takth pe bithayénge **

Hum Jashne Viladat ko bhardi shaan se manayéngé

Verse 1

Male Hum Shahé do alaam ke~, hai nur ke parwane * (2)

Fem. Deedar ke deewane~, Tawhid ke mastane * (2)

Cho: Hum ek naya gulshan, alam mein khiladenge * (2)

Hum Jashne Viladat ko bhardi shaan se manayéngé

Verse 2

Male Is noor ki kashti ko, doobné ka who gham kyun ho * (2)

Fem. Haider ké bandoko, mazdar ka gham kyun ho * (2)

Cho: Ismaili alaam ko, khud par laga denge (2)

Hum Jashne Viladat ko bhardi shaan se manayéngé

Verse 3

Male Shahé marda tumho, shéréyazda tumho * (2)

Fem. Ismaili jashmon méin, Allaha sahi tumho * (2)

Cho: Ek téré isharé par, hum khud ko luta dengé * (2)

Hum Jashne Viladat ko, bhardi shaan se manayéngé

Vich apné Aga ko hum takth pe bithayénge (2)

Hum Jashne Viladat ko, bhardi shaan se,

Bhadi shaan se manayéngé (slowly)


Audio for Hum Jashne Viladat ko bhardi shaan se manayenge

Back to top