Welcome to F.I.E.L.D.- the First Ismaili Electronic Library and Database.

Who sham mujhe yaad aye jis sham ko Mowla aye

Source: 
Kamal Taj - Shahadat-E-Ishq - U.S.A.
verses: 
2

Title: Who sham mujhe yaad aye Page: 18
_______________________________________________________________________

Alaap: Kya khush nasib ye com hai, jo Ali se muhobat karte hai

Mowla Ali ke naam per, ye sabh kuch nisar karte hai

Tan man aur dhan ke saath, waqt kurban karte hai

Karim Shah ke naam per, who duniya mein ujala karte hai

Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla aye

Mein gaata raha, leherata raha

Anmol khushi ke tarane

Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla aye

Mein gata raha, leherata raha, anmol khushi ke tarane

Who sham mujhe yaad aye

Verse 1

Mehefil who kaisi saji thi, Mowla ki masti har dil me thi* (2)

Who takhta pe akar baithe

Sab ankhen, khushi se jalak ne lagi

Who hanste rahe, who luta te rahe, anmol khushi ke khazane

Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla aye

Mein gata raha, leherata raha

Anmol khushi ke tarane, who sham mujhe yaad aye

Verse 2

Hai Taj ke dil ki tamana, mera ishk bhi, rang lata rahe ** (2)

Mein apni khudi ko mitadun

Tere kiranon mein, kho jata rahun

Tun shaman meri, banjata rahe, mein ban patang urdjaun

Who sham mujhe yaad aye, jis sham ko Mowla aye

Mein gata raha, leherata raha, anmol khushi ke tarane

Who sham mujhe yaad aye

(End with music)


Audio for Who sham mujhe yaad aye jis sham ko Mowla aye

Back to top